Friday, February 4, 2011

Light

dhundta hoon khud ko baar baar
phir bhi na jane kahan kho deta hoon
kabhi akele mein khud se milne ko
mein har baar taras jata hoon

hoon door kyun mujhse khud hi itna
bikharta hua toh kabhi sambhalta hua
in hawaon ke jhonko se..
apne antar mein khud ko chhupata hua
sota hua jagta hoon mein

hai kolahal iss khamoshi mein
hai dwand is behoshi mein
jagna hai mujhe, uthna hai mujhe
apne aap ko banana hai mujhe

kyun mein bikharta hoon is jag ke rele mein
kyun khud ko dhundu mein auro ki nigaho mein
mein khud se apni pahchaan toh karlu zara
kya rakha hai rab is gumnaam zindgani mein..

2 comments: