Ab tak humein yahi maalum tha ki humara desh 200 saalon tak angrejon ka ghulam tha. Aur unko desh se bhaga kar hum 15 Aug, 1947 ko azaad ho gaye. Par kya yahi sach tha? Kya itna bada hindustan mutthi bhar angrejo ka ghulam tha? Is desh ko ghulam banaya tha un hazaron-laakhon bhaartiyon ne jo un angrejon ki hukumat ko sar-anjam dete thhe. Lathiyon se desh-bhakto ke sir ko todne wale haath unhi logon ke the, un angrejo ke nahi!!
Humara desh sirf gori chamdi se azad hua hai, unke pyaadon se nahi. Jo aaj bhi humare desh ko loot rahen hai, garibon ke haq ke paise se apni tijorian aur Swiss account bhar rahe hein. khule-aam loot ho rahi hai, khoon bah raha hai aur saara desh sirf tamasha dekh raha hai. Jo sarkar aur koi bhi vyakti jo is desh ko nuksaan pahuncha raha hai, unki ragon mein unhi angrejo ke pyaado ka khoon daud raha hai. Aur yah haqiqat aaj har sachha hindustani mehsoos kar raha hai. Azadi ki jung 1947 mein hi khatm nahi ho sakti, azadi ki jung aaj phir se shuru karne ka samay hai. Is loot ko, desh ki is barbadi ko humein aaj hi rokna hoga, warna aane wale kal ko apne desh par garv karne ka mauka bhi na milega.
Toh aao hum sab milkar ek nayi shakti banaye jo is desh ko sachhi azadi dilane ke liye krit-sankalp ho. Aur mein maanta hoon ki, yadi sankalp sachha aur uski disha sahi ho to namumkin kuchh bhi nahi.
Saturday, August 14, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment